Asalam0alaikum
.
-People who are saying Dua Zehra Zina ker rahi hai.
-Dua Zehra nay Nikah kiya hai bhaley wali kay baghair hua hai is case mai state uski wali automatically ban chutki hai aur wo eik Jaiz rishtay mai hai.
-jou samajhty hain Dua kou support kernay ki waja say unki betiyo kou bhi khatra hai kal kou unki betiyaan bhi stand lein gi.
-Dua ka case 2 maheenay pehly aya hai, pasand ki shaadiyan aur bhaag ky shadiyaan hamesha say hou rahi hain, hamaray gharo mai bachey zyada movies and dramas ki waja say influence hou rahey hain , na ky dua ki waja say.
-jou log kehty hain Mehdi sahab takleef mai hai wo apni beti wapis chahtay hai muhabbat krtay hain.
-bilkul tou apni muhabbat ki khaatir beti kou maaf ker dein aur uskay shohar kou qubool ker lein.
-jou log bol rey hain Zaheer ghareeb hai Dua ki zindagi mushkil hou jaye gi.
-Mehdi Sahab Zaheer kou business krwa dein takey unki beti ki life achi guzrey.
-jou log keh rahey hain Mehdi Sahab ki himmat kou Salam hai jou abhi tk haar nahi maan rahey.
-ye jawab apsabko nagawaar guzrey ga ky Mehdi sahab apni beti ki Muhabbat mai nahi balkey apni ego ki waja say peechay nahi hut rahey , Mehdi Sahab ki personality say saaf pata chalta hai ky wo eik Narcissist hain ky unko apni aur apni beti tak ki izzat ki parwah nahi hai mujey dua pay taras ataa hai aur mai khaufzada hu agar Mehdi saab peechay na hatey tou dua khudkushi na kar ley jitni uski tazleel hui hai.. aur agar Mehdi Sahab kisi tarha Dua kou apney paas bulaney may kamyab hou gaye tou wo khudi ghairat ky naam py usey maar daalein gay.
Phir afsos krney ka koi faida nahi hoga. Dua bachi kou jee leiney dein uski Zindagi.
-Jou kehty hain Dua nay maa baap kou dukh pohanchaya hai.
-koi shak nahi us bachi nay bohot bara qadam uthaya magar yey sochnay ki koshish karein ky usney esa kyu kiya hoga? Agar larkey ki muhabbat mai? Tou yaad rakhiye agar usey wo muhabbat apney ghar say milti tou jesey wo zaheer ki muhabbat mai maa baap kou chor aei hai tou yakeen karein wo maa baap ki muhabbat mai zaheer kou bhi chor sakti thi.
-Maa Baap nay Dua ky dil mai jou nafrat boi hai ab uspay matam ki bajaye sabar karein aur apna dil barah karein.
Allah Paak sab ky haq mai behter farmaye Ameen.
#DuaZehra #duazahracase
.jpeg)
0 تبصرے
LIKE N SHARE